tu bewafayi ki hadon ko paar kar raha hai
Mere dil ke fanaa hone ka intezar kar raha hai
maine maana tujhe meri zindagi, meri duniya
tu dil me rehta hai phir bhi inkaar kar raha hai
tujhe mehsoos na ho dard is liye haste hai
natija ye nikla tu sitam bar bar kar raha hai
meri aankh ke aansu tujhe khushi dete hai kya
aaj phir tu naya ek dard taiyar kar raha hai
kya teri qismat hai mai kya ab kahu "Ahlam"
Tu ek bewafa se ab bhi pyar kar raha hai