मंगलवार, 24 अगस्त 2021

Tumhe kya batau ke mai kya dekhta hu

 


Tumhe kya batau ke mai kya dekhta hu

Mai apne me tumko chupa dekhta hu

Ho bhi nahi aur har jagha tum ho

Socho mai tumhe kitna sochta hu

Mai apne me tumko chupa dekhta hu

Mai teri ulfat me kho gaya hu

Mujhe ab koi bhi khabar nahi hai

Teri aashiqui ka aisa asar hai

Ke dooja koi asar nahi hai

Meri zindagi me shamil hai tu to

Meri zindagi ko duwa dekhta hu

Mai apne me tumko chupa dekhta hu

Hairan hu mere dil me samaye ho kis tarah

Khushbu ka jaise phool se rishta hai us tarah

Mai tujhse juda hoke pehchan kho dunga

Rooh apne jism se nikal jati hai jis tarah

Tere bagair khudko mai tanha dekhta hu

tumhe kya batau ke mai kya dekhta hu

mai apne me tumko chupa dekhta hu


Nazim "Ahlam"



कोई टिप्पणी नहीं:

Tu bewafayi ki hadon ko paar kar raha hai | Urdu Ghazal | urdu status | Ghazal Status | Hindi Poetry

tu bewafayi ki hadon ko paar kar raha hai Mere dil ke fanaa hone ka intezar kar raha hai maine maana tujhe meri zindagi, meri duniya tu dil ...